Posts

Ankahi

Jo tut rha hai andar andar Kaise mai bun paungi  Samjh n aaye asamnjas k bhav mai kaise janungi Prashno k aaghat bahut niruttar se baithi mai  Sagar jaise uthalputhal hai Pthhar ho k baithi mai Ho skta hai thodi duri ho sapno se, do char kadam k himmat se ar thodi si kishmat se  Chal dungi to shayd dhundla bhi dikhne lag jaye,  Prashno k badal hat jayn ar aasman bhi sath lage
Kabhi kabhi sochti hun ki ye duniya shant saral logo k liye hai bhi ya nahi kash aisha hota ki sbki life smooth hoti koi rukavat n hoti sbke dreams pure hote sb milta jiski chaht hoti bina kisi hurdles k ...... But stop don't be in dream land... Aisha kabhi ni hua n itihash m n vartmaan m  sabke apne hisse k sangharsh hote he hai .hn zindagi aasan hoti hai pr tamaam kathinaaiyon se ladne k bad ...ache log bhi milte hain pr tb tk aap ache ar bure k bhed samjh chuke hote hai.. Ar aakhir m vo log jo shant ar saral hote unki paristhitiyan unhe ye samjha he deti hai ki ye duniya dhairya k sath sath yudh se bhi jeeti jati hai... 

ahshash..

Zamane bhar k iktefaaq liye chalte ho,  Yun he har bat pr ahsash liye chalte ho Vakt lagega duniya ko samjhne me.  K har ek se aash lgaye chalte ho

aadha sach

Lagatar milti asfaltao ne vakt ne kuch logo ne kahin n kahin hamare dimag me ye rakh diya ki hm kuch bda nahi kr sakte pr ye aadha sach hai kyonki hmne asafaltao ko itna badha kr dekha ki raste me aaye safalta ka samman n kar paye , mana vakt bura tha pr hm aache vakt me khud ko smbhal n paye ar rahi bat logo ki to hmane unki he kyon suni jo khud he kuntha se grast hain hamre andar pyar ar viswash rakhne walo ka to samman krte .Sikhete jante itna to samjh aaya pura sach bhi chanrdma ki trh he hai hmesha aadha hissa he dekh pate hain hm ar jb pura sacha janna ho purnima k prakash tk dhairya rakhna hota hai . Yatra me hona sukhad hai sikhte bante khud ko sambhalte khud me ar sudhar lana ar bhi... 

Trust people who are honest not the nice one

do jahan ka safar

Yad hmko jb bhi tumhari aaye hogi  Koi aahat tum tk bhi pahuchti hogi  Mana do jahan ka fasla hai abhi  Ush jahn me bhi aawaj to jati hogi  Jab the sath aansu bhi bat jate the  Dukh ki har bat pr sath aate the Ab n ho tum n koi khwaahish hai  Kya ush jahan me bhi aaishe he aajmaish hai... 

#Learning

Tumhe milne wale samaajik dhokhe  tumhe vichlit kar skte hain par yahi tumhe Sachet krenge Samaj ki samjh banane me ar waisa na banne me jo ek samaj ko kamjor ar Asamajik banata hai, tumhare Aarthik dhokhe tumhe ye samjha paynge ki Aashirt hona kitna galat hai ar Aarthik majbuti kitni jaruri, anischit samaya ki hone wali ghtnaye ye bta payngi ki pahle ki taiyari kya mayne rakhti hai... Ar in sab ke beech tum ye bhi samjh paogi ki har bar sikne k liye kisi ghatna ka hona he jaruri nahi hai... Lakin kisi viparit paristhiti me bhi tum  kitna sikh sakti ho..... 

Main inhi ka hissa hun... #Prayavaran

Ye Nadiya pahad mitti in par to kuch likha he nahin  ,Mai bhul gye shayad Mai inhi ka hissa hun ye koi kissa nahi   . Inhi hawaon ki vjh se sanse chal rahi Hain Meri    .lakin kab tk?                ishi mitti ne kitani fasal ugayen mere liye       lakin kab tk?         .jab tk hwaon me Maine jahr n ghola .        jab tk pahado ko apne swarth ke liye n toda         jab tk janglo me ped Bache rhen ar jab Tak mitti me vahi khusbu bani rhe                 Aur jab Tak Mai samjhti rahun ki ye Nadiyan phad mitti Mera he hissa Hain koi kissa nahin....

life battles

What, how, When ??? And lots of questions and confusion arises whenever we going to start something and the real fight begin the fight between you and the self which naver want come out it's shell, which used to be in comfort zone and only you know the worth of this fight because the battle with your inner self, health, emotions is not easy but see who won.. 

Being in the moment

Parivartan, change, evolution Bahut pane khone k safer m apne ek hisse ko bhulne bhi lgte hain jo kabhi hm me mojud tha ar ushka kuch hissa kahin n kahin rh gya hai ya kuch hisse chhod diye jane se gayab ho gye hain hn jin chijo k bare me hm sochna chhod den rk din vo hmare dimag se puri trh gayb ho jate hain . kuch ko ho bhi jana chahiye ar phir achanak se kisi safer m kuch chije mil he jati hain jinse se hme hamara vo hissa jo kabhi hmne bahut piche chhod diya tha ek bar phir se hm ush flashback m le jati hai kabhi kabhi hme rukkar apne ap ko jhankne ki jarurat hoti he hain (introspection)  Ar dekhna hota hai ki hm zindagi me kuch evolve huye ya phir completely change ho gye evolution ka ek positive perspective hota hai jb hm apni galtiyon se seekh kr aage badhte hain for example pahle mujhe koi chij attract krne k liye bahri dikhavo ar fantasy kafi hoti thi pr ab jb mai ye samjhne lgi hun ye juth ki duniya jyada, attract ni krti balki ar bhi bahut sacchi chije hoti hain jo matte...

Sapno ka Astitva

Tum kho gye ho kya  Ya phir yahin kahin ho, mere aas pass Subah se sham tk de rhi tilanjali , phir bhi lgta hai tum thode se zinda rh gye mujhme  Yad hai tumhe kabhi aag ban kr sath aaye thi tum Phir bhi tumhara tej kabhi jalata nahi tha Ab jab tum rakh ho rhi ho, kuch aag rh gye hai jaise  Kahte hain zindagi me sbse buri chij hoti hai Sapno ka mar jana, pr tum to mujhme rh gye ho kahin aishe jaise sb kuch khtm hone ke bad bhi kuch to rah he jata hai, jahn ant aarmbh ka sanket matra hai ... 

sankalpo me sahash bhar lo...

Reedh ki haddi seedhi kar lo ,  sankalpo me sahash bhar lo Tever thode Kam he sahi,  irado me majbuti kar lo   Ho sakta hai ras n aaye tumko thodi duniyadari  Ekaki me baith k ranneeti se bate kar  lo  Tever thode Kam he sahi..  Irado me majbuti kar lo  Koun hai chota ar koun bda hai ye sb hai samaye ki maya   Samaya pr tum majboot rho ishki pahle taiyari kar lo   Mana ki tum chhale gye ho ,thode kapat se dase gye ho vish peekar ban neelkanth ab   Shakti ka aahvahan kar lo   Rajneeti koi Khel nahi hai bas ranneeti ka hissa hai , gandi agar bahut he hai to tum ishko kuch achi kar lo   Reedh ki haddi sidhi kar lo ...  Dhyan rahe  kisi sahi  par  atyachar nahi ho tumse   Par anyayi ,durachari  ko beshak dharashaye kar do..  

Homo sapiens to humans

From being just moving body to become human is not happened in a short period. it takes years of evolution which make a creature to mindful person. This evolution may  takes place when a person want to develop and adopted the ecological factors or not stuck on the same palce , huand I think thats the important factor which made a Homo sapiens to human because any living creatures needs a move . A brain cannot evolved if we just seating and repeating the things . It develops by continuous learning and processing the mind to its fullest creativity. We have to come out of our shell ...

Ankahii

Ish zindagi me kitna kuch  hoga jo hm kabhi ni kh payenge ,.... bachpan se leke bade hone tk Tak k safer me ye bhi ek seekh hai jo hm apne ap sikhenge ... kyonki tb tk hm ya mahsus kr lete hain ki har bat kahne sunne wali ni hoti kuch bate sirf likh de jati hain. ab man ke shabdon ko kagaj pr kitni jgh milti hai ye alg bat hai.. kuch bate phir bhi rah jati hain Ankahii...

emotions matters

Emotions matters....yes either it's yours or someone else. Jab hm umr me badh   rhe hote hain ya kahen samjhdari ar duniyadari ki sikh le rhe hote hai to un sari Seekh me se ek hoti hai bhavnao ko samjhna..pr hme kabhi  bhi ye samjhaya ni gya ya ye khud he samjhna pda khud he mahsus kiya ki agr apko apke bhavnao ki kadra ni hai to phir kisi ar se ye apeksha krna beimani hai.. akser ye kha jata hai ki  rishte bchane k liye har bat ko dil pr nahi lena chahiye..hn kafi had tak sahi hai pr ye jo had hai hme he nirdharit krna hoga kyonki in sb me hmari apni bhavnaye Bahut aahat kr le hai Duniya samjhte ar sikhte humne apni duniya he khokhli bna ki hai .. khud se hmara rishta majbut n rha to duniya k tamam rishte nam matra k rh jayenge...

Understimate

Whenever life is going on a uncertain path believing in yourself becomes so hard as you understimate everything about your identity.. sometimes It is painful to come out from your sell or the cover you made from years either it is your beliefs or someone else which empacted on you . the beleive is not make in one day.it takes a courageous step to make a true self towards your action ...

aatmsamman

Thoda mushkil hai, ye sb sirf mere sath he kyon hota hai ..ar bahut sare bate jo shuruaat hai pahle he har man lene ki ar jishne har man he liya ho ushe phir koun jita skta hai ,ar phir krte rho shikayate vakt se, logo se ,zindagi se ...kisi ko koi frk ni padne wala ar kuch bhi frk ni padne wala jb tk aapko khud kuch frk ni padta. badlav ki jarurat aapko hai, aatmsamman ke yudh me aatmvishvas ke bahut jarurat hoti hai..ni to aapko vo sabit krne k liye jo aap nhi hain , apni faydo k liye istemal krne wale tuchh logo ki bhi sankhya km ni hai  to behtar hoga ki aapko khud pr to Vishwas ho ,samsya se bhagna samsya ka hal hota to n ramayan me Ram shree Ram hote ar n he abhimanyu Mahabharata ke maharathi  ...to chije thodi mushkil bhi hongi ,log ache mile ishke liye ishwar ka dhnyavad pr kuch kadve anubhav dene wale log bhi milenge unka bhi swagat kre seedhe rashto pr chalne ki aadat hme pahado ke Shikhar tk ni pahuchati kuch tedhe rashte bhi honge kuch chattan bhi par krne honge to...

असिमित

सागर के एक तरफ से कितना देख सकती हो ज़मीं तुम्हारे कदमों में हो  पर्वत की ऊंचाई कितना जान सकती हो  रंगों से भरी दुनिया तो है   अश्वेत के पार कितना जा सकती हो   क्यों बना ली है तुमने अपनी दुनिया सीमित  जब असिमित के पार जा सकती हो ।

Riston ke ingredients 😶

Aur akhir me sbko sath lekr chlna itna kathin bhi nahi hota bas jarurat hoti hai kuch ingredients ki ...hn dekha jaye to zindagi bhi ek recipe he to hai teekhe ,mithe , kadve har jayeke k sath ...to ye ingredients hai thoda dhairya bahut sari himmat ar aage akr jimmedari lene ka sahash hn sabhi ko accept kr lena shuru m thoda mushkil hota hai pr hme bhi to hmari tamam khamiyon k sath accept Kiya he gya hai sab kuch perfect dekhne ki chahat me hm ye chote chote pal n Miss kr den ar zindagi vahi to hoti hai jo hm jee rhe hote hain na ki vo jishki chah me zindagi nikl jati hai 🙂😌

writing desk: khud ki samajh

writing desk: khud ki samajh : Hmare samne jo duniya dikh rhi hoti hai usshe alg bhi ek duniya hoti hai jo hm bahut km dekh pate hain ar kabhi kabhi to bahut der ho jati h...