Posts

Showing posts from June, 2023

#Learning

Tumhe milne wale samaajik dhokhe  tumhe vichlit kar skte hain par yahi tumhe Sachet krenge Samaj ki samjh banane me ar waisa na banne me jo ek samaj ko kamjor ar Asamajik banata hai, tumhare Aarthik dhokhe tumhe ye samjha paynge ki Aashirt hona kitna galat hai ar Aarthik majbuti kitni jaruri, anischit samaya ki hone wali ghtnaye ye bta payngi ki pahle ki taiyari kya mayne rakhti hai... Ar in sab ke beech tum ye bhi samjh paogi ki har bar sikne k liye kisi ghatna ka hona he jaruri nahi hai... Lakin kisi viparit paristhiti me bhi tum  kitna sikh sakti ho..... 

Main inhi ka hissa hun... #Prayavaran

Ye Nadiya pahad mitti in par to kuch likha he nahin  ,Mai bhul gye shayad Mai inhi ka hissa hun ye koi kissa nahi   . Inhi hawaon ki vjh se sanse chal rahi Hain Meri    .lakin kab tk?                ishi mitti ne kitani fasal ugayen mere liye       lakin kab tk?         .jab tk hwaon me Maine jahr n ghola .        jab tk pahado ko apne swarth ke liye n toda         jab tk janglo me ped Bache rhen ar jab Tak mitti me vahi khusbu bani rhe                 Aur jab Tak Mai samjhti rahun ki ye Nadiyan phad mitti Mera he hissa Hain koi kissa nahin....