emotions matters
Emotions matters....yes either it's yours or someone else. Jab hm umr me badh rhe hote hain ya kahen samjhdari ar duniyadari ki sikh le rhe hote hai to un sari Seekh me se ek hoti hai bhavnao ko samjhna..pr hme kabhi bhi ye samjhaya ni gya ya ye khud he samjhna pda khud he mahsus kiya ki agr apko apke bhavnao ki kadra ni hai to phir kisi ar se ye apeksha krna beimani hai.. akser ye kha jata hai ki rishte bchane k liye har bat ko dil pr nahi lena chahiye..hn kafi had tak sahi hai pr ye jo had hai hme he nirdharit krna hoga kyonki in sb me hmari apni bhavnaye Bahut aahat kr le hai Duniya samjhte ar sikhte humne apni duniya he khokhli bna ki hai .. khud se hmara rishta majbut n rha to duniya k tamam rishte nam matra k rh jayenge...