sankalpo me sahash bhar lo...
Reedh ki haddi seedhi kar lo , sankalpo me sahash bhar lo Tever thode Kam he sahi, irado me majbuti kar lo Ho sakta hai ras n aaye tumko thodi duniyadari Ekaki me baith k ranneeti se bate kar lo Tever thode Kam he sahi.. Irado me majbuti kar lo Koun hai chota ar koun bda hai ye sb hai samaye ki maya Samaya pr tum majboot rho ishki pahle taiyari kar lo Mana ki tum chhale gye ho ,thode kapat se dase gye ho vish peekar ban neelkanth ab Shakti ka aahvahan kar lo Rajneeti koi Khel nahi hai bas ranneeti ka hissa hai , gandi agar bahut he hai to tum ishko kuch achi kar lo Reedh ki haddi sidhi kar lo ... Dhyan rahe kisi sahi par atyachar nahi ho tumse Par anyayi ,durachari ko beshak dharashaye kar do..