Posts

Showing posts from April, 2024
Kabhi kabhi sochti hun ki ye duniya shant saral logo k liye hai bhi ya nahi kash aisha hota ki sbki life smooth hoti koi rukavat n hoti sbke dreams pure hote sb milta jiski chaht hoti bina kisi hurdles k ...... But stop don't be in dream land... Aisha kabhi ni hua n itihash m n vartmaan m  sabke apne hisse k sangharsh hote he hai .hn zindagi aasan hoti hai pr tamaam kathinaaiyon se ladne k bad ...ache log bhi milte hain pr tb tk aap ache ar bure k bhed samjh chuke hote hai.. Ar aakhir m vo log jo shant ar saral hote unki paristhitiyan unhe ye samjha he deti hai ki ye duniya dhairya k sath sath yudh se bhi jeeti jati hai... 

ahshash..

Zamane bhar k iktefaaq liye chalte ho,  Yun he har bat pr ahsash liye chalte ho Vakt lagega duniya ko samjhne me.  K har ek se aash lgaye chalte ho

aadha sach

Lagatar milti asfaltao ne vakt ne kuch logo ne kahin n kahin hamare dimag me ye rakh diya ki hm kuch bda nahi kr sakte pr ye aadha sach hai kyonki hmne asafaltao ko itna badha kr dekha ki raste me aaye safalta ka samman n kar paye , mana vakt bura tha pr hm aache vakt me khud ko smbhal n paye ar rahi bat logo ki to hmane unki he kyon suni jo khud he kuntha se grast hain hamre andar pyar ar viswash rakhne walo ka to samman krte .Sikhete jante itna to samjh aaya pura sach bhi chanrdma ki trh he hai hmesha aadha hissa he dekh pate hain hm ar jb pura sacha janna ho purnima k prakash tk dhairya rakhna hota hai . Yatra me hona sukhad hai sikhte bante khud ko sambhalte khud me ar sudhar lana ar bhi...