Being in the moment
Parivartan, change, evolution
Bahut pane khone k safer m apne ek hisse ko bhulne bhi lgte hain jo kabhi hm me mojud tha ar ushka kuch hissa kahin n kahin rh gya hai ya kuch hisse chhod diye jane se gayab ho gye hain hn jin chijo k bare me hm sochna chhod den rk din vo hmare dimag se puri trh gayb ho jate hain . kuch ko ho bhi jana chahiye ar phir achanak se kisi safer m kuch chije mil he jati hain jinse se hme hamara vo hissa jo kabhi hmne bahut piche chhod diya tha ek bar phir se hm ush flashback m le jati hai kabhi kabhi hme rukkar apne ap ko jhankne ki jarurat hoti he hain (introspection)
Ar dekhna hota hai ki hm zindagi me kuch evolve huye ya phir completely change ho gye evolution ka ek positive perspective hota hai jb hm apni galtiyon se seekh kr aage badhte hain for example pahle mujhe koi chij attract krne k liye bahri dikhavo ar fantasy kafi hoti thi pr ab jb mai ye samjhne lgi hun ye juth ki duniya jyada, attract ni krti balki ar bhi bahut sacchi chije hoti hain jo matter krti hain duniya ke ye mahasus kiya hai....
Comments
Post a Comment