Posts

do jahan ka safar

Yad hmko jb bhi tumhari aaye hogi  Koi aahat tum tk bhi pahuchti hogi  Mana do jahan ka fasla hai abhi  Ush jahn me bhi aawaj to jati hogi  Jab the sath aansu bhi bat jate the  Dukh ki har bat pr sath aate the Ab n ho tum n koi khwaahish hai  Kya ush jahan me bhi aaishe he aajmaish hai... 

#Learning

Tumhe milne wale samaajik dhokhe  tumhe vichlit kar skte hain par yahi tumhe Sachet krenge Samaj ki samjh banane me ar waisa na banne me jo ek samaj ko kamjor ar Asamajik banata hai, tumhare Aarthik dhokhe tumhe ye samjha paynge ki Aashirt hona kitna galat hai ar Aarthik majbuti kitni jaruri, anischit samaya ki hone wali ghtnaye ye bta payngi ki pahle ki taiyari kya mayne rakhti hai... Ar in sab ke beech tum ye bhi samjh paogi ki har bar sikne k liye kisi ghatna ka hona he jaruri nahi hai... Lakin kisi viparit paristhiti me bhi tum  kitna sikh sakti ho..... 

Main inhi ka hissa hun... #Prayavaran

Ye Nadiya pahad mitti in par to kuch likha he nahin  ,Mai bhul gye shayad Mai inhi ka hissa hun ye koi kissa nahi   . Inhi hawaon ki vjh se sanse chal rahi Hain Meri    .lakin kab tk?                ishi mitti ne kitani fasal ugayen mere liye       lakin kab tk?         .jab tk hwaon me Maine jahr n ghola .        jab tk pahado ko apne swarth ke liye n toda         jab tk janglo me ped Bache rhen ar jab Tak mitti me vahi khusbu bani rhe                 Aur jab Tak Mai samjhti rahun ki ye Nadiyan phad mitti Mera he hissa Hain koi kissa nahin....

life battles

What, how, When ??? And lots of questions and confusion arises whenever we going to start something and the real fight begin the fight between you and the self which naver want come out it's shell, which used to be in comfort zone and only you know the worth of this fight because the battle with your inner self, health, emotions is not easy but see who won.. 

Being in the moment

Parivartan, change, evolution Bahut pane khone k safer m apne ek hisse ko bhulne bhi lgte hain jo kabhi hm me mojud tha ar ushka kuch hissa kahin n kahin rh gya hai ya kuch hisse chhod diye jane se gayab ho gye hain hn jin chijo k bare me hm sochna chhod den rk din vo hmare dimag se puri trh gayb ho jate hain . kuch ko ho bhi jana chahiye ar phir achanak se kisi safer m kuch chije mil he jati hain jinse se hme hamara vo hissa jo kabhi hmne bahut piche chhod diya tha ek bar phir se hm ush flashback m le jati hai kabhi kabhi hme rukkar apne ap ko jhankne ki jarurat hoti he hain (introspection)  Ar dekhna hota hai ki hm zindagi me kuch evolve huye ya phir completely change ho gye evolution ka ek positive perspective hota hai jb hm apni galtiyon se seekh kr aage badhte hain for example pahle mujhe koi chij attract krne k liye bahri dikhavo ar fantasy kafi hoti thi pr ab jb mai ye samjhne lgi hun ye juth ki duniya jyada, attract ni krti balki ar bhi bahut sacchi chije hoti hain jo matte...

Sapno ka Astitva

Tum kho gye ho kya  Ya phir yahin kahin ho, mere aas pass Subah se sham tk de rhi tilanjali , phir bhi lgta hai tum thode se zinda rh gye mujhme  Yad hai tumhe kabhi aag ban kr sath aaye thi tum Phir bhi tumhara tej kabhi jalata nahi tha Ab jab tum rakh ho rhi ho, kuch aag rh gye hai jaise  Kahte hain zindagi me sbse buri chij hoti hai Sapno ka mar jana, pr tum to mujhme rh gye ho kahin aishe jaise sb kuch khtm hone ke bad bhi kuch to rah he jata hai, jahn ant aarmbh ka sanket matra hai ... 

sankalpo me sahash bhar lo...

Reedh ki haddi seedhi kar lo ,  sankalpo me sahash bhar lo Tever thode Kam he sahi,  irado me majbuti kar lo   Ho sakta hai ras n aaye tumko thodi duniyadari  Ekaki me baith k ranneeti se bate kar  lo  Tever thode Kam he sahi..  Irado me majbuti kar lo  Koun hai chota ar koun bda hai ye sb hai samaye ki maya   Samaya pr tum majboot rho ishki pahle taiyari kar lo   Mana ki tum chhale gye ho ,thode kapat se dase gye ho vish peekar ban neelkanth ab   Shakti ka aahvahan kar lo   Rajneeti koi Khel nahi hai bas ranneeti ka hissa hai , gandi agar bahut he hai to tum ishko kuch achi kar lo   Reedh ki haddi sidhi kar lo ...  Dhyan rahe  kisi sahi  par  atyachar nahi ho tumse   Par anyayi ,durachari  ko beshak dharashaye kar do..