Kabhi kabhi sochti hun ki ye duniya shant saral logo k liye hai bhi ya nahi kash aisha hota ki sbki life smooth hoti koi rukavat n hoti sbke dreams pure hote sb milta jiski chaht hoti bina kisi hurdles k ...... But stop don't be in dream land... Aisha kabhi ni hua n itihash m n vartmaan m sabke apne hisse k sangharsh hote he hai .hn zindagi aasan hoti hai pr tamaam kathinaaiyon se ladne k bad ...ache log bhi milte hain pr tb tk aap ache ar bure k bhed samjh chuke hote hai.. Ar aakhir m vo log jo shant ar saral hote unki paristhitiyan unhe ye samjha he deti hai ki ye duniya dhairya k sath sath yudh se bhi jeeti jati hai...
Posts
aadha sach
- Get link
- X
- Other Apps
Lagatar milti asfaltao ne vakt ne kuch logo ne kahin n kahin hamare dimag me ye rakh diya ki hm kuch bda nahi kr sakte pr ye aadha sach hai kyonki hmne asafaltao ko itna badha kr dekha ki raste me aaye safalta ka samman n kar paye , mana vakt bura tha pr hm aache vakt me khud ko smbhal n paye ar rahi bat logo ki to hmane unki he kyon suni jo khud he kuntha se grast hain hamre andar pyar ar viswash rakhne walo ka to samman krte .Sikhete jante itna to samjh aaya pura sach bhi chanrdma ki trh he hai hmesha aadha hissa he dekh pate hain hm ar jb pura sacha janna ho purnima k prakash tk dhairya rakhna hota hai . Yatra me hona sukhad hai sikhte bante khud ko sambhalte khud me ar sudhar lana ar bhi...
#Learning
- Get link
- X
- Other Apps
Tumhe milne wale samaajik dhokhe tumhe vichlit kar skte hain par yahi tumhe Sachet krenge Samaj ki samjh banane me ar waisa na banne me jo ek samaj ko kamjor ar Asamajik banata hai, tumhare Aarthik dhokhe tumhe ye samjha paynge ki Aashirt hona kitna galat hai ar Aarthik majbuti kitni jaruri, anischit samaya ki hone wali ghtnaye ye bta payngi ki pahle ki taiyari kya mayne rakhti hai... Ar in sab ke beech tum ye bhi samjh paogi ki har bar sikne k liye kisi ghatna ka hona he jaruri nahi hai... Lakin kisi viparit paristhiti me bhi tum kitna sikh sakti ho.....
Main inhi ka hissa hun... #Prayavaran
- Get link
- X
- Other Apps
Ye Nadiya pahad mitti in par to kuch likha he nahin ,Mai bhul gye shayad Mai inhi ka hissa hun ye koi kissa nahi . Inhi hawaon ki vjh se sanse chal rahi Hain Meri .lakin kab tk? ishi mitti ne kitani fasal ugayen mere liye lakin kab tk? .jab tk hwaon me Maine jahr n ghola . jab tk pahado ko apne swarth ke liye n toda jab tk janglo me ped Bache rhen ar jab Tak mitti me vahi khusbu bani rhe Aur jab Tak Mai samjhti rahun ki ye Nadiyan phad mitti Mera he hissa Hain koi kissa nahin....